Saturday, May 29, 2010

Bhalay dino baat hai..


Bhalay dino ki baat hai,
Bhali si ik shakal thi,
Bhali si us ki dosti…

Na ye kay husn-e-taam ho,
Na dekhnay main aam si,
Na ye kay wo chalay to ,
Kehkishan say rah guzar lagay,
Magar wo sath ho to phir,
Bhala bhala safar lagay

Koi bhi rut ho us ki jab,
Fiza ka rang roop thi,
Wo garmiyon ki chaoon thi,
Wo sardiyon ki dhoop thi.

Na mudatoon juda rahay
Na sath subh-o-sham ho
Na rishta-e-wafa pay zid
Na ye kay izne-aam ho

Na aisi khush libasiyan
Kay sadgii gila karay
Na itni bay-takalufi
Kay aina haya karay

Na ikhtalaf main wo rang
Kay bad-maza hon khwahishain
Na is kadar supurdgi
Kay zich karain nawazisheen

Na ashqi junon ki
Kay zindagi azab ho,
Na is kadar khatoor pan,
Kay dosti kharab ho

Kabhi to baat bhi khafi,
Kabhi sakoot bhi sukhan
Kabhi to kasht-e-zafran
Kabhi udasiyon ka ban

Suna hai….
Suna hai ik umar hai
Mu’amlat-e-Dil ki bhi
Visal-e-jan fiza to kya
Faraq-e-jan vasl ki bhi

So aik roz kya howa,
Wafa pay behaas chir gaye,
Main ishq ko amar kahon,
Wo meri zid say chir gaye

Main ishq ka aseer tha
Wo ishq ko qafas kahay,
Kay umar bhar kay saath ko
Bad-taraz hawas kahay

Shajar hajar nahi kay ham
Hamesha paba-e-gil rahain'
Na door hain kay rasiyan
Galay main mustakil rahain

Muhabaton ki vusa’teen
Hamaray dast-o-pa main hain
Bas aik dars-e-nisbateen
Sagan-e-bawafa main hain

Main koi painting nahi,
Kay aik frame main rahon,
Wohi jo maan ka meet ko
Usi kay praim mian rahon

Tumhari sooch job hi ho
Main is mizaaj ki nahi
Mujhay wafa say bair hai
Ye baat aj ki nahi

Na us ko mujh pay maan tha
Na mujh ko us pay zuam hi
Jab ehad hi koi na ho
To kya gham-e-shikistagi

So apna apna rasta
Hansi khusi dabal liya
Wo apni rah chal pari
Main apni rah chal diya

Bhali si aik shakal thi
Bhali si us ki dosti

Ab us ki yaad raat din nahi
Han magar kabhi kabhi..
Han magar kabhi kabhi..

1 comment: