Showing posts with label Zindagi say dartay ho. Show all posts
Showing posts with label Zindagi say dartay ho. Show all posts

Saturday, May 29, 2010

Zindagi Say Dartay Ho (Noon Meem Rashid)




Zindagi say dartay ho?

Zindagi to tum bhi ho,
Zindagi to hum bhi hain
Zindagi say dartay ho...

Aadmi say dartay ho?

Aadmi to tum bhi ho,
Aadmi to hum bhi hain
Aadmi zubaan bhi hay,
Aadmi bayaan bhi hay,
Us say tum nahi dartay...

Harf aur ma'ani kay rishta-haaye-aahan say Aadmi hai waabasta
Aadmi kay daaman say zindagi hai waabasta,
uss say tum nahi dartay...

Unkahi say dartay ho?

Jo abhi nahi aaye us ghari say dartay ho?
uss ghari ki aamad ki agahi say dartay ho?
Pahlay bhi to guzray hain
Daur naarasaai kay,
beyri ya khudaye kay
Phir bhee ye samajhtay ho
Haich !!
arzumandi
Ya shab-e-zubaan bandi
Hay raahay khuda wandi

Tum yehi samjhtay ho..
Tum magar ye kya jaano...
Lab agar nahi hiltay,
Haath jag uthtay hain
Haath jag uthtay hain
Rah ka nishaan bankar
Noor ki zabaan bankar
Haath bol uthtay hain
Subh ki azaan bankar

Roshni say dartay ho?

Roshni tau tum bhee ho,
Roshni tau hum bhi hain
Roshni say dartay ho...?

Shahar ki faseelon par
Deev ka jo saaya thaa,
Paak hogaya aakhir
Raat ka libaadah bhi
chaak hogayaa aakhir
Khaak hogayaa aakhir...

Azhdahaam-e-insaan say fard ki nawa aye
Zaat ki sadaa aye
Rah-e-shauq main jaisay
Rah ro ka khoon lapkay
Ik nayaa junoon lapkay

Aadmi chhalak uthay
Aadmi hassay dekho,
Shehar phir basay dekho

Tum abhi say dartay ho?
Haan abhi to tum bhee ho,
Haan abhi to hum bhee hain

Tum!!! abhi say dartay ho...